Hinglish Ghazal

Akela shakhs bhi chaahe to kaarwaan ho jaaye

By Anwar Kamal 25 April 2023 38,735 reads 9,620 likes
Akela shakhs bhi chaahe to kaarwaan ho jaayeToh qaafila naya peechhe rawa’n dawa’n ho jaayeTum apne saath sawera liye phira karnaKise pata hai ke andhera kab kahaan ho jaayeLuta ke taaj  bhatakte huwe aye khaana’badoshZaroori hai ke tera phoos ka makaa’n ho jaayeYe haath paanv se chalna koyi hunar to nahi’nMain chahta hoon ke ye bachcha ab jawaa’n ho jaayeRuka raha bhi to sooraj na sar pe hoga kamaalMain chal pada hoon bhale shaam jab jahaan ho jaaye

Related Shayari

More from this category.