Community Owner
Anwar Kamal
Founder, curator, and lead poetic voice of this platform.
Read Owner ProfileThis platform is led by Anwar Kamal as community owner and lead poet. Along with his writing, selected poets can also publish and grow the community together.
Community Owner
Founder, curator, and lead poetic voice of this platform.
Read Owner ProfileQuick discovery across moods, forms, and themes.
63 shayari found.
Tum kaanch ke ghar mein rahte ho patthar se muhabbat theek nahiAye kashti jalaane walo’n suno dariya se adaawat theek nahiMaana ke aqeedat gehri hai yun sar na jhukaao sajde meinInsaa’n hai khuda ban jaayega it...
Kat raha ho sar agar tevar badalna chahiyeTere bhi haatho’n mein ab khanjar machalna chahiyeMuddato’n ki pyaas hai labrez kar saaghar ko yunMay chhalakni chahiye saaghar phisalna chahiyeDasht-e-dushman mein zar...
Furqat e gham azaab ho jayeSab haqeeqat saraab ho jaayeAshk ko yun baha ke sehra bhiGanga jamna chenaab ho jaayeIss tarah se naqaab utha zaalimChaandni laajawab ho jaayeAa baboolo’n se hi bana lein chamanKaan’t...
Phirte ho saraabo’n mein khwabeedah liye paikarKyun jaam bhare saaqi dil hi na raha muztarShola ho muqabil to raqs-e-sharar laazimQatro’n ko machalna hai qulzum ki adaa le karTabrezi firistada jugnu ko tarasta...
Dhoke hi khaaye hain auro’n pe bharosa kar ke Kaante hi haath lage beej ko pauda kar keJism se jhadti huwi rait uthaane waalo’nKya milega tumhe’n iss rait ka sauda kar keMaine sehra mein bhi shabnam se ta’...
Dhanak ke rang mein nikhra bahaar ka mausamQaraar le gaya saara qaraar ka mausamTadapte ashq ke moti palak sanvaar gayeKe khatm ho hi gaya intezaar ka mausamShab-e-visaal ne furqat ki tod di zanjeerHisaar-e-hij...
Tu khush nahin hai chalo ghar alag alag kar leinHawa zameen ye ambar alag alag kar leinLadaayi khatm hui haar jeet kiski huiYe dekhna hai to chal sar alag alag kar leinJo daur khatm hua sath sath chalne kaTo aa...
Lashkar ke saamne kahin lashkar nikal na jaayeKhanjar prast log hain khanjar nikal na jaayePehra bitha rahe ho jo paani ki boond parHissa jo maang baithei’n samandar nikal na jaayeMaana muraaqbe mein hain chang...
Mutmay’in hain jo ghaat na maare jaaye’nApne hi ghar mein paraaye na pukaare jaye’nPed ab apni tabaahi ka sabab dhoondta haiJo hain saaye mein woh sehra se guzaare jaaye’nZinda hone ka bhi dena padega sabko sab...
Usey bhi pyaas hai apni bujhaani dekhte jaaoWoh mera khoon peeta hai ya paani dekhte jaaoMere haatho’n ke saare phool ab patthar na ho jaaye’nMukhalif kaym’p ki shola bayaani dekhte jaaoHimayat hai tujhe sooraj...
Pedo’n ki har ik shaakh hilane pe tula haiPaagal hai parindo’n ko udaane pe tula haiKho jaaye na ranjish mein kahin pyaar ki khushbooPhoolo’n kmo bhi patthar se ladaane pe tula haiSookhi huwi mitti se nikalti n...
Dil ke soone aangan mein titliya’n udaa deejeThumriya’n suna deeje talkhiya’n bhala deejeIshq ka koyi saahil lautne nahi’n detaRasm hai puraani ye kashtiya’n jala deejeMain parindah aawara hijrato’n mein rahta...
Sachcha tha main magar mujhe jhoota likha gayaUjley libaas ko mere kaala likha gayaMunsif ne mere qatl ko bhi khud kushi kahaMujh ko hi apne khoon ka pyasa likha gayaKhaak-e-watan mein dafan they ajdaad sab mer...
Akela shakhs bhi chaahe to kaarwaan ho jaayeToh qaafila naya peechhe rawa’n dawa’n ho jaayeTum apne saath sawera liye phira karnaKise pata hai ke andhera kab kahaan ho jaayeLuta ke taaj bhatakte huwe aye...
Sookhe pedo’n se lipat kar der tak roya na karChhaao’n ke girte khandar ka iss qadar peechha na karIss qafas ko tod de ya tod de zanjeer-e-hayaatAye qalandar justuju ka silsila toda na karMere qaatil ke lahoo s...
Jo apna hai nahin apna to keh nahi saktaGuzarti chhao’n ko saaya to keh nahin saktaZaroori hai ke koyi shaakh ab chuni jaayeHar ek shaakh ko dera to keh nahi saktaMohabbato’n ka taqaza hai dooriyaa’n bhi raheKi...
Aye shehr-e-sitam main tera hun apno pe sitam kyun karte hoAye mulk-e-adam ke matwaalo’n lut jaane ka gham kyu karte hoKuchh meri anaa kuch teri anaa dono ke anaa ki thi majbooriMajboor sahi hum door sahi in aa...
Ab to ye kaam hai mitti ka tadapne lag jayeBojh badh jaaye to chup chap bikharne lag jayeApne khanjar ke kamalaat dikhaya bhi karoDekho khanjar mein kahin rang na milne lag jayeAshk palkon pe sajaaya karo shabn...
Aansuo’n ke peechhe se muskurana padta haiGham hazaar ho’n dil mein gham chhupana padta hai Saanso’n ki paheli mein dhadkane’n ulajhne deDor kab sulajhti hai toot jaana padta haiJab tere qabeele ka rehnuma...
Safar mein sab akele hain pukara kar liya jayeGham-e-tanhaai ka kuchh to mudawa kar liya jayeSuna hai noor ke paikar se ik din saamna hogaChalo ab dil ke butkhaane ko ka’aba kar liya jayeSuna hai khwab kachchi...
Ye main jo vahshat ke daayre mein thahar raha hoonTeri samajh se pare main khud mein nikhar raha hoonMujhe bhi kozahgaro’n ne chaaha banayein phir seMain sookhi mitti tha raqs karte bikhar raha hoonWoh jis bada...
Paar woh ho gaya dariya ko khabar hone takMain idhar rah gaya lehron ke bhanwar hone takMere haatho’n mein bhi khanjar tha hunar tha sab thaKat gaya sar mera patthar ka jigar hone takItna aasan to nahin boond k...
Teri nigaah ka maara to mar gaya kab kaFaseel-e-hijr se ho kar guzar gaya kab kaSaraab-e-aks-e-sitamgar se chain kya miltaSau tashna lab hi tera humsafar gaya kab ka Naseeb mein tha sau aandhi se bach gaya...
Jo bhi anjaam ho anjaam khuda ko maaloomKaun girta hai yahaan dast-e-qaza ko maaloomPattharo’n ne to jigar khoon kiya ghis ghis karRang niklega ya paani ye hena ko maaloomShaakh-e-gul aandhi se anjaan kathak na...
Mutthiyo’n se mujhe gira denaDhool hoon dhool par leta denaMeri yaadein azaab de gayi tujheDheere dheere mujhe ganva denaSab parindey the mausamo’n ke ghulaamMuntazir pedo’n ko bata denaIss qabeele ki neend kac...
Kaun aaya hai wahi yaadei’n puraani le karEk dooje se bichhadne ki kahaani le karTeri ulfat ke talabgaaro’n ko dariya na milaPhir ye sehraao’n mein kaun aaya hai paani le karSwyambar mein sahi main jeet gaya ho...
Main aage walo’n mein jazba jaga ke laut aayaJo sab se peechhe they aage badha ke laut aayaBuland udna tha mujh ko to meri chaal to dekhAnadiyo’n se patangein luta ke laut aayaUdaan bhool na jaaye woh shaakh-e-...
Ab saanp ke hi jism se sandal lipat na jaayeIss rezgaar se kahin jungle lipat na jaayeAisi tadap hai pyaase mein dariya na chal padeAisi tadap hai honto’n se se chhagal lipat na jaayeKaajal laga ke aankho’n mei...
Rangeen ruto’n ki shaam ho tumNaayab koyi in’aam ho tumLafzo’n mein tumharey lab ki sharaabBolo to chhalakta jaam ho tumSau roop badaltey dekha haiKashmir, Katak, Assam ho tumBaahar se bhale patthar ka libaasAn...
Teri palkon ki ghani shaam se darr lagta haiMain thaka haara hoon aaraam se darr lagta haiSurmayi shaam ke aanchal mein ujaaley kab takChampayi dhoop ke anjaam se darr lagta haiSaanvli chaao’n tale din ye guzaa...
Badan mein pyaas na jaane kahan kahan se uthiSharar ki shakl mein ye aatish-e-rawaan se uthiJo uss ne rait pe likha tha hijr ka ek lafzTo ban ke hashr yahi rait khaakdaa’n se uthiAndhera phir naye sooraj se haa...
Main jal chuka hoon raakh mein chingaariya’n na dhoondAansoo hain mere sachche adakaariya’n na dhoondApni haveliyo’n ke sisakte khandar ko dekhAye khwab aks-e-gul ki woh gulkaariya’n na dhoondMujh pe sitam haza...
Pehloo-e-yaar mein aaya to jahaa’n bhool gayaHijr ki rait udi aah-o-fughaa’n bhool gayaShiddat-e-tashna labi se mujhe ehsaas huwaKhud meri zaat mein dariya tha ravaan bhool gayaJosh mein aa gaya maidan-e-amal m...
Woh hamein aazmaa ke maanengeJaan apni ganva ke maanengeUn ke haatho’n mein aaj sooraj haiSaare jugnoo jala ke maanengeMaanjhe ke dor ki patango’n seKachcha dhaaga ladaa ke maanengeHusn ka jaal tan gaya hum bhi...
Hawa ban kar main teri syah zulfon ko chhu loonTere kaajal mein mil kar ghani palko’n ko chhu loonKisi yaqoot ke do taraashe lab hain tereMain laali mein pighal kar tere hontho’n ko chhu loonTumhaara lams aisa...
Kitni mushkil se bahot der manaane ke ba’adChaand nikla hai kayi jugnoo dikhaane ke ba’adTu samajhta hai gulaabo’n se mehekta hai khat ?Khushboo milti nahi alfaaz mitaane ke ba’adChampayi dhoop tere vasl ki kha...
Uss gulaabi shaam ke saaye kahin gum ho gayeJab bichhad ke hans ke jodey kahin gum ho gayeNafrato’n ka maanjha tha saari patangein kat gayeinPyaar ke mazboot woh dhaage kahin gum ho gayeDhoop ki zanjeer pehne h...
Apno’n ko aazmaane ka qissa na hum se poochhDushman se haar jaane ka qissa na hum se poochhMitti ki thi pukaar hum hijrat na kar sakeyIss qarz ko chukaane ka qissa na hum se poochhTha aab’shaar apna wahin patth...
Jo shaakh-e-gul ik chamakte khanjar ke saamne haiYe fan hai qatrah bhi ab samandar ke saamne haiJo takht-e-shaahi ko chhod aaya tha ik malangaWoh takht-e-shaahi phir uss qalandar ke saamne haiYe ratjaga y...
Ab ke aise alam se guzre humApne haatho’n sitam se guzre humUn ke yaado’n ki titliyaa’n chhu karRehguzaar-e-sanam se guzre humLehar dar lehar hum guzarte huweMauj dar mauj gham se guzre humWoh nasheb-o-faraaz w...
Woh qatrah ab bhi samajhta hai aab’shaar mein haiJo aab’shaar se gir kar nadi ki dhaar mein haiYe tera sheher teri cheenkh sun na paayegaKe baazgasht-e-sada dasht ki pukaar mein haiBajaao saaz mohabbat ka amn k...
Chhod aaram thakan de de bahel jaungaZinda rehne ki ghutan de de bahel jaungaChaand ki shab mein tera hijr qayamat hogaDhoop ki saari jalan de de bahel jaungaIn zameeno’n ki udaano’n mein ghane saaye hainChhaao...
Hai dasht-e-dil mein meri zaat koobakoo phir seDil-o-jigar meri aankhein lahoo lahoo phir seHar ek aaina un ka hi tarjumaa’n niklaShabeeh-e-yaar in ankhon ke roobaroo phir seThahar gaya tha maqaam-e-saraab me a...
Rait ko phaankte vahshat mein guzar jaane dePyaas ghaflat mein hai ghaflat mein guzar jaane deSaaye mein khudkushi kar le na meri parchhayi’nZindagi dhoop ki sangat mein guzar jaane deDil parinda hai nasheman m...
Rasm hai ye pyaar ki jalna pighalna haye hooHaye hoo tera mera milna bichhadna haye hooBebasi aankho’n mein le kar apne toote pankh sePanchhi ka udna gagan mein neeche girna haye hooDo ghadi aaram kar le do gha...
Meri aarzoo ka charaagh ab na jalega tere dayaar meinMeri dhadkane teri qaid mein meri sansein tere hesaar meinJo nihaa’n qaza mein qaraar ho to kyun aarzoo-e-qarar hoAye tadap talab meri tishnagi tujhe kya mil...
Aye chaak meri mujhko mukammal bana ke dekhIss ped ko hara bhara jungle bana ke dekhTujh se lipat bhi jaaoo’n teri aasteen ka saanpBu-e-badan ko khushboo-e-sandal bana ke dekhIss dheemi chaal se kahaan tay hoga...
Naya rayees hai apna maqaam kya jaaneWaqaar taaj ka adnaa ghulaam kya jaaneYeh raat phir naye sooraj se haar jaayegiMain ek jugnu hoon ye dhalti shaam kya jaaneBagair imaam ki iss bheed ki khataayein na ginKaha...
Thi bhool buzdilo’n ko bhi zindo’n me gin liyaLashkar yazeediyo’n ka tha apno’n mein gin liyaMoti banane wala main samjha tha koozagarThee’n kaudiyaa’n sadaf ke qabeelo’n mein gin liyaQatro’n ke inqalaab se dar...
Dam badam aankhon se apni mai pilaye dam badamDam badam mera sanam pehlu mein aaye dam badamYeh nazaakat nargisi yeh nit-naye nakhre tereDam badam woh rooth jaye maan jaye dam badamShaakho’n pe baithi kali jais...
Be-parda be-hijaab saraapa kamaal kaKis ne tumhara husn tarasha kamaal kaPalko’n ki paalki teri neendein meri jagaayeYe saanvli saraaye ye dera kamaal kaDil ki patang kaat gayein sarphiri lateinJaanaa’n tumhare...
Qabl mar jaane se jeene ka hunar aa hi gayaGirte padte bhi smbhalne ka hunar aa hi gayaKab talak dhoondta kashti ke nigehbaano’n koTair kar paar utarne ka hunar aa hi gayaSaath sooraj ke chala tha main safar me...
Shab-e-visaal ki betaabiyaa’n sitam dhaayeinSitamgaraa’n teri rangeeniyaa’n sitam dhaayeinTumhare hontho’n ka panghat sharaab se labraizLabo’n ke jaam ki gehraaiyaa’n sitam dhaayeinGulo’n ki sej hai jaanaa’n te...
Main udaa raha hoon jaana’n teri yaado’n ke parindeyTujhe haal-e-dil sunayenge sadaao’n ke parindeyMeri saf ke sabz patte kahin kar na dein baghawatKahin ud na jayein saare meri shaakho’n ke parindeyMera jism m...
Uljhi hui rassi ka sira dhoond raha haiKya jaane woh apni hi khata dhoond raha haiShaakho’n se gire patton ki taqdeer thi achchhiIk bhookha hiran patta hara dhoond raha haiIk tu hai ke nikla bhi nahi ghar se ab...
Syaah raat mein taare nahi seher dhundoUdaan bharni hai to khud mein baal-o-par dhundo Jawaa’n dhoop ke nezo’n se haar jaogeNa dhundo abr ke tukde bade shajar dhundo Thakan utarti kahan hai yahan ke l...
Shab ke rukhsaaro’n pe shabnam ke sharaare utreyTab kahin jaake mere khwab kinaare utreyMauj ka khauf tha aisa ke lab-e-sahil bhi Pehle utra tha main peechhe mere saare utreyLafz honton ke qafas mein bhale...
Ye chandni ye chaman zaaron ki agan aur mainYe rang-o-bu ye tere lams ki chubhan aur mainGhazaal aankhon se dil par chhuri barasti huiShikast khata hua rann me ek hiran aur mainThakan utaarti ye saanvle badan k...
Sau maujein qafas teri nigahon ke bhanwar meinMain doob raha hoon tere jalwon me bhanwar meinMaikash ki muradein hain kya maikhana-o-saaqiMaikash ki muradein teri aankhon ke bhanwar meinKastoori ki khushboo ka...
Sau maujein qafas teri nigahon ke bhanwar meinMain doob raha hoon tere jalwon me bhanwar meinMaikash ki muradein hain kya maikhana-o-saaqiMaikash ki muradein teri aankhon ke bhanwar meinKastoori ki khushboo ka...
Sau maujein qafas teri nigahon ke bhanwar meinMain doob raha hoon tere jalwon me bhanwar meinMaikash ki muradein hain kya maikhana-o-saaqiMaikash ki muradein teri aankhon ke bhanwar meinKastoori ki khushboo ka...
Sau maujein qafas teri nigahon ke bhanwar meinMain doob raha hoon tere jalwon me bhanwar meinMaikash ki muradein hain kya maikhana-o-saaqiMaikash ki muradein teri aankhon ke bhanwar meinKastoori ki khushboo ka...
Simat’ti chandni hai ya saraapa hai nami danamNami danam mera mehboob kya kya hai nami danamTumhari jheel si aankhon ke tat par ye jhuki palkeinBhanwar hai chhaa’on hai koi shikara hai nami danamTere chehre ke...
Create your author profile and start sharing your original shayari.