شعر و سخن Shayari in Urdu, Hindi & Hinglish

انور کمال Anwar Kamal Poetry & Community
Hinglish Ghazal

Darr lagta hai

25 April 2023 35,903 reads 8,880 likes
Teri palkon ki ghani shaam se darr lagta haiMain thaka haara hoon aaraam se darr lagta haiSurmayi shaam ke aanchal mein ujaaley kab takChampayi dhoop ke anjaam se darr lagta haiSaanvli chaao’n tale din ye guzaaroo’n kaiseAjnabi pedo’n ke ilzaam se darr lagta haiZindagi beet gayi ose ka peechha karteSurkh honto’n ke bhare jaam se darr lagta hai