Hinglish Ghazal

Furqat e gham azaab ho jaye

By Anwar Kamal 25 April 2023 50,218 reads 12,480 likes
Furqat e gham azaab ho jayeSab haqeeqat saraab ho jaayeAshk ko yun baha ke sehra bhiGanga jamna chenaab ho jaayeIss tarah se naqaab utha zaalimChaandni laajawab ho jaayeAa baboolo’n se hi bana lein chamanKaan’ta kaan’ta gulaab ho jaayeIshq mein aisi sajda rezi hoHusn khud benaqaab ho jaayeTishnagi yun badha kamaal apniTishnagi khud sharaab ho jaaye

Related Shayari

More from this category.