Phirte ho saraabo’n mein khwabeedah liye paikar
By Anwar Kamal
25 April 2023
36,006 reads
8,940 likes
Phirte ho saraabo’n mein khwabeedah liye paikarKyun jaam bhare saaqi dil hi na raha muztarShola ho muqabil to raqs-e-sharar laazimQatro’n ko machalna hai qulzum ki adaa le karTabrezi firistada jugnu ko tarasta haiAawaz do aa jaye sooraj ki zeya chal karZam zam ke ubalney ko laazim hai junoo’n kheziPaani ki talab hai to sehra ko laga thokarGardan bhale kat jaaye dastaar bachane meinHaq waale to padhte hain takbeer tah-e-khanjar
Related Shayari
More from this category.