Hinglish Ghazal

Kat raha ho sar agar tevar badalna chahiye

By Anwar Kamal 25 April 2023 59,590 reads 14,820 likes
Kat raha ho sar agar tevar badalna chahiyeTere bhi haatho’n mein ab khanjar machalna chahiyeMuddato’n ki pyaas hai labrez kar saaghar ko yunMay chhalakni chahiye saaghar phisalna chahiyeDasht-e-dushman mein zaroori hai ke girgit ki tarahRang badalna chahiye paikar badalna chahiyeDosto’n ki aasteen ka saanp zahreela ho garAasteen se tere bhi ajgar nikalna chahiyeAshko’n se patthar bhigo dena nahi hota KamaalHai Kamaal-e-fann ke ye patthar pighalna chahiye

Related Shayari

More from this category.