Hinglish Ghazal

Maqaam kya jaane

By Anwar Kamal 25 April 2023 43,432 reads 10,800 likes
Naya rayees hai apna maqaam kya jaaneWaqaar taaj ka adnaa ghulaam kya jaaneYeh raat phir naye sooraj se haar jaayegiMain ek jugnu hoon ye dhalti shaam kya jaaneBagair imaam ki iss bheed ki khataayein na ginKahaan ye jhukna hai kab hai qayaam kya jaaneYeh rahzano’n ka qabeela hai jugnu na samajhLadaayi ba’ad mein pehle salaam kya jaaneNaye sharaabi mein aadaab-e-maikadah na talaashYeh kis ke vaaste aaya hai jaam kya jaane

Related Shayari

More from this category.