Saraapa kamaal ka
By Anwar Kamal
25 April 2023
40,391 reads
10,040 likes
Be-parda be-hijaab saraapa kamaal kaKis ne tumhara husn tarasha kamaal kaPalko’n ki paalki teri neendein meri jagaayeYe saanvli saraaye ye dera kamaal kaDil ki patang kaat gayein sarphiri lateinJaanaa’n tumharey baalo’n ka maanjha kamaal kaIss chandni ki jheel mein aye doodhiya sadafMoti lutaa’te husn ka jalwa kamaal kaMitti mein mil na jaye qalandar ka ratjagaTujh marmarein khayal ka nashsha kamaal ka
Related Shayari
More from this category.