Meri aarzoo ka charaagh
By Anwar Kamal
25 April 2023
44,290 reads
11,020 likes
Meri aarzoo ka charaagh ab na jalega tere dayaar meinMeri dhadkane teri qaid mein meri sansein tere hesaar meinJo nihaa’n qaza mein qaraar ho to kyun aarzoo-e-qarar hoAye tadap talab meri tishnagi tujhe kya milega qaraar meinKayi karwa’n jo chale gaye mujhe do khabar wo gaye kahanKe junoo-e-shauq-e-safar liye kayi karwa’n hain qataar meinNa baras ghatayein simat bhi jaa mere chaand poore se ghat bhi jaaMain khizaa’n raseedah bahaar hoon tujhe kya milega bahaar meinMeri jaa’n kani ke aye marhale zara intezar-e-sanam to karMeri jaa’n tu sadqa-e-yaar hai to nikal bhi kocha-e-yaar mein
Related Shayari
More from this category.