شعر و سخن Shayari in Urdu, Hindi & Hinglish

انور کمال Anwar Kamal Poetry & Community
Hinglish Ghazal

Bana ke dekh

25 April 2023 42,624 reads 10,580 likes
Aye chaak meri mujhko mukammal bana ke dekhIss ped ko hara bhara jungle bana ke dekhTujh se lipat bhi jaaoo’n teri aasteen ka saanpBu-e-badan ko khushboo-e-sandal bana ke dekhIss dheemi chaal se kahaan tay hoga pul siraatBhedo’n ke iss qabeele ko cheetal bana ke dekhBaadal banate rehne ka dariya ko hai hunarSaavan meri zameen ko jalthal bana ke dekhIss dhoop ke safar mein bhi, neendo’n ki paalkiMumkin hai, apne saaye ko baadal bana ke dekh