Mutmay’in hain jo ghaat na maare jaaye’n
By Anwar Kamal
25 April 2023
38,392 reads
9,540 likes
Mutmay’in hain jo ghaat na maare jaaye’nApne hi ghar mein paraaye na pukaare jaye’nPed ab apni tabaahi ka sabab dhoondta haiJo hain saaye mein woh sehra se guzaare jaaye’nZinda hone ka bhi dena padega sabko sabootJo na de paaye’n woh qabro’n mein utaarey jaaye’nWoh jo iss jung mein haare hain ladaayi ke bagairTaash ki baazi mein woh log na haare jaaye’nJo hain maujo’n ke talabgaar woh kashti mein raheinJo hain saahil ke talabgaar utaarey jaaye’n
Related Shayari
More from this category.