Safar mein sab akele hain
By Anwar Kamal
25 April 2023
34,459 reads
8,560 likes
Safar mein sab akele hain pukara kar liya jayeGham-e-tanhaai ka kuchh to mudawa kar liya jayeSuna hai noor ke paikar se ik din saamna hogaChalo ab dil ke butkhaane ko ka’aba kar liya jayeSuna hai khwab kachchi neend mein poore nahi hoteSo jeete ji marne ka tamaasha kar liya jayeSuna hai raitka ghar tik nahin paata hawaon meinChalo ab jism ki mitti ko gaara kar liya jayeSuna hai ke ujaaley bhi zaroori hain safar mein toBana ke dhoop ka sahil guzaara kar liya jayeSuna hai raato’n mein dhoonde se bhi milta nahi soorajChalo aansoo ke qatro’n ka sitara kar liya jayeSuna hai kaan’ta chubhne se rago’n me daudta hai khoonTo behtar hai ke phoolo’n se kinaara kar liya jaye
Related Shayari
More from this category.