Gin Liya
By Anwar Kamal
25 April 2023
38,024 reads
9,440 likes
Thi bhool buzdilo’n ko bhi zindo’n me gin liyaLashkar yazeediyo’n ka tha apno’n mein gin liyaMoti banane wala main samjha tha koozagarThee’n kaudiyaa’n sadaf ke qabeelo’n mein gin liyaQatro’n ke inqalaab se dariya na ban sakaShabnam ghazeedah boondo’n ko maujo’n mein gin liyaLe ke qafas ko ud na sakey ye raha sababDhokey mein titliyo’n ko parindo’n mein gin liya
Related Shayari
More from this category.