Hinglish Ghazal

Raakh mein chingaariya’n na dhoond

By Anwar Kamal 25 April 2023 34,469 reads 8,560 likes
Main jal chuka hoon raakh mein chingaariya’n na dhoondAansoo hain mere sachche adakaariya’n na dhoondApni haveliyo’n ke sisakte khandar ko dekhAye khwab aks-e-gul ki woh gulkaariya’n na dhoondMujh pe sitam hazaar sitamgar ko dhaane deMeri anaa woh pehli si khuddariya’n na dhoondYaado’n ke canvas pe talaash na kar unhe’nAye dil tu mere vaaste dushwaariya’n na dhoondAata hai sh’er zehen mein le ke lahoo ka rangPhir aye warq tu rango’n ki pichkariyaa’n na dhoond

Related Shayari

More from this category.