Hinglish Ghazal

Kaun aaya hai wahi yaadei’n puraani le kar

By Anwar Kamal 25 April 2023 39,126 reads 9,720 likes
Kaun aaya hai wahi yaadei’n puraani le karEk dooje se bichhadne ki kahaani le karTeri ulfat ke talabgaaro’n ko dariya na milaPhir ye sehraao’n mein kaun aaya hai paani le karSwyambar mein sahi main jeet gaya hoon lekinMain lakadhaara bata kya karoo’n raani le karJab karishmo’n se hi manzil ka nishaa’n milta haiKya karoo’n meel ke patthar ki nishaani le karAabshaaro’n ko samandar ne pukara hai KamaalKya karoo’n bhala shabnam ki rawaani le kar

Related Shayari

More from this category.