Laut aaya
By Anwar Kamal
25 April 2023
36,969 reads
9,180 likes
Main aage walo’n mein jazba jaga ke laut aayaJo sab se peechhe they aage badha ke laut aayaBuland udna tha mujh ko to meri chaal to dekhAnadiyo’n se patangein luta ke laut aayaUdaan bhool na jaaye woh shaakh-e-gul pe kahinMain pattharo’n se parindah udaa ke laut aayaTadap rahi thi meri jaa’n nikalne ko main bhiBadan ki rait pe naqsha bana ke laut aayaKharaaj dena tha sooraj ki sar bulandi koMain apne aap ka saaya luta ke laut aayaMukhalifo’n ki muhabbat ne ye kamaal kiyaMain apne haatho’n se khanjar gira ke laut aaya
Related Shayari
More from this category.