Jo apna hai nahin apna to keh nahi sakta
By Anwar Kamal
25 April 2023
55,923 reads
13,920 likes
Jo apna hai nahin apna to keh nahi saktaGuzarti chhao’n ko saaya to keh nahin saktaZaroori hai ke koyi shaakh ab chuni jaayeHar ek shaakh ko dera to keh nahi saktaMohabbato’n ka taqaza hai dooriyaa’n bhi raheKisi ko jism ka hissa to keh nahi saktaWoh koh-e-noor hai moti ka wasf kya jaaneMain pattharo’n ko nageena to keh nahi saktaYe aur baat hai dariya ki shakal lekinBagair paani ke dariya to keh nahi saktaYe chaand taarey ye jugnu charaagh-e-shab hain magarUjaaley hain ye savera to keh nahi sakta
Related Shayari
More from this category.