Hinglish Ghazal

Hunar aa hi gaya

By Anwar Kamal 25 April 2023 57,588 reads 14,340 likes
Qabl mar jaane se jeene ka hunar aa hi gayaGirte padte bhi smbhalne ka hunar aa hi gayaKab talak dhoondta kashti ke nigehbaano’n koTair kar paar utarne ka hunar aa hi gayaSaath sooraj ke chala tha main safar mein lekinZulmat-e-shab se guzarne ka hunar aa hi gayaPar nikalte hi paraaya hua apno’n se main jabIss parindey ko bhi udney ka hunar aa hi gayaTalkh rishto’n ko badalta raha meethe pan seNeem ke phal ko nigalney ka hunar aa hi gaya Maine khemo’n ki tanabo’n ko khula chhod diyaAandhiyo’n mein bhi thaharne ka hunar aa hi gaya Maine sehraao’n se maanga nahi paani ka suraabMujhko bhi pyaas mein jalne ka hunar aa hi gayaYe zaroori tha ke bahar se main dekha jaaoo’nApne andar se nikalne ka hunar aa hi gaya

Related Shayari

More from this category.