Hinglish Ghazal

Sitam dhaayein

By Anwar Kamal 25 April 2023 37,110 reads 9,220 likes
Shab-e-visaal ki betaabiyaa’n sitam dhaayeinSitamgaraa’n teri rangeeniyaa’n sitam dhaayeinTumhare hontho’n ka panghat sharaab se labraizLabo’n ke jaam ki gehraaiyaa’n sitam dhaayeinGulo’n ki sej hai jaanaa’n tere badan ki saraayeTumhaarey qurb ki madhoshiyaa’n sitam dhaayeinTumhaarey baalo’n mein saavan ki chhaao’n basti haiTumhaarey palko’n ki parchhaiya’n sitam dhaayeinTumhaarey naaf ki kastoori kar na dein madhoshTumhaarey asar ki parwaaiya’n sitam dhaayeinSafeena saanso’n ka sandal ke paaniyo’n pe chaleyMachalti dhadkano’n ki thumriyaa’n sitam dhaayeinBadaltey jalwe hain jaise ho qaafiya bandiRadeef-e-husn athkeliyaa’n sitam dhaayeinNigaah-e-yaar mein har dum khumaar palta haiAur uss ke baad ki angdaaiyaa’n sitam dhaayeinMere wajood se lipta hua wajood teraAur uss ke baad ki pabandiyaa’n sitam dhaayein

Related Shayari

More from this category.