شعر و سخن Shayari in Urdu, Hindi & Hinglish

انور کمال Anwar Kamal Poetry & Community
Hinglish Ghazal

Dekhte jaao

25 April 2023 48,277 reads 11,980 likes
Usey bhi pyaas hai apni bujhaani dekhte jaaoWoh mera khoon peeta hai ya paani dekhte jaaoMere haatho’n ke saare phool ab patthar na ho jaaye’nMukhalif kaym’p ki shola bayaani dekhte jaaoHimayat hai tujhe sooraj ki main bhi qatrah-e-zam zamAye sehra mere chashme ki rawaani dekhte jaaoYahin ke they yahin ke hain yahin par khaatma hogaKhudaayi kar do mitti ki nishaani dekhte jaaoHaveli ab bhi baaqi mere ajdaad ki yaaro’nMeri taareekh hai barso’n puraani dekhte jaao