Woh qatrah ab bhi samajhta hai
By Anwar Kamal
25 April 2023
50,619 reads
12,600 likes
Woh qatrah ab bhi samajhta hai aab’shaar mein haiJo aab’shaar se gir kar nadi ki dhaar mein haiYe tera sheher teri cheenkh sun na paayegaKe baazgasht-e-sada dasht ki pukaar mein haiBajaao saaz mohabbat ka amn ki khatirKhalish na daf mein na veena mein na guitar mein haiRamooz-e-ishq se waqif nahi hai dil teraPhansi nigaah tere jism ke ubhaar mein haiWoh apne zulm pe naaza’n mujhe khuda pe yaqee’nKhuda ke paas mera mudd’aa qataar mein hai
Related Shayari
More from this category.