Hinglish Ghazal

Aur Main

By Anwar Kamal 02 April 2023 48,504 reads 12,060 likes
Ye chandni ye chaman zaaron ki agan aur mainYe rang-o-bu ye tere lams ki chubhan aur mainGhazaal aankhon se dil par chhuri barasti huiShikast khata hua rann me ek hiran aur mainThakan utaarti ye saanvle badan ki hadeinGudaaz jism ki ye makhmali shikan aur mainThirakti nartaki ye raushni ye rang mahalUthaan saaz ki saazando’n ki thakan aur mainPeher ye shab ki ye pehra tumhari zulfon ka Ghata ghumadti hui bheegta gagan aur mainMain dhool dhool bikharta hua banaam-e-yaarWoh phool phool sa khilta hua badan aur main

Related Shayari

More from this category.