شعر و سخن Shayari in Urdu, Hindi & Hinglish

انور کمال Anwar Kamal Poetry & Community
Hinglish Ghazal

Dhoke hi khaaye hain auro’n pe bharosa kar ke

25 April 2023 46,983 reads 11,640 likes
Dhoke hi khaaye hain auro’n pe bharosa kar ke Kaante hi haath lage beej ko pauda kar keJism se jhadti huwi rait uthaane waalo’nKya milega tumhe’n iss rait ka sauda kar keMaine sehra mein bhi shabnam se ta’alluq na rakhaAur tum doob gaye koze ko dariya kar keShola-e-ishq se jab khaak khaak munavvar ho toNoor phir rahta nahin khaak se parda kar keMuntazir hoon main qayamat hi macha de saaqi Kyun darata hai hame’n roz tamasha kar ke