Bahaar ka mausam
By Anwar Kamal
25 April 2023
40,972 reads
10,180 likes
Dhanak ke rang mein nikhra bahaar ka mausamQaraar le gaya saara qaraar ka mausamTadapte ashq ke moti palak sanvaar gayeKe khatm ho hi gaya intezaar ka mausamShab-e-visaal ne furqat ki tod di zanjeerHisaar-e-hijr se aaya faraar ka mausamHai surkh kaasa-e-lab raghbat-e-gunaah liyeKe raqs-e-raftagi mein hai khumaar ka mausamAye abr zulf-e-sanam ki ghataye’n le ke barasDikha hame’n bhi zara kohsaar ka mausamThirakti dhadkane’n dil ko yun sangsar na karYe bazm-e-vasl hai ya sangsar ka musam
Related Shayari
More from this category.