Syaah raat mein
By Anwar Kamal
25 April 2023
53,051 reads
13,200 likes
Syaah raat mein taare nahi seher dhundoUdaan bharni hai to khud mein baal-o-par dhundo Jawaa’n dhoop ke nezo’n se haar jaogeNa dhundo abr ke tukde bade shajar dhundo Thakan utarti kahan hai yahan ke logon kiIdhar saraaye na dhundo kahin udhar dhundo Ye baar baar naye ghonsle banayein kyunJahaan purana basera tha phir wo ghar dhundo Woh tera gham liye hijrat bhi kar gaya kab ka Ab us ki gard ko aankhon se umr bhar dekho
Related Shayari
More from this category.