Pedo’n ki har ik shaakh hilane pe tula hai
Pedo’n ki har ik shaakh hilane pe tula haiPaagal hai parindo’n ko udaane pe tula haiKho jaaye na ranjish mein kahin pyaar ki khushbooPhoolo’n kmo bhi patthar se ladaane pe tula haiSookhi huwi mitti se nikalti nahin tasweerNaadaa’n hai kyun chaak ghumane pe tula haiJaane bhi do rehne do sabhi rasm puraaniTum haath milaane woh chhurane pe tula haiHar baat pe rone ki teri zidd nahin achchhiBekaar tu aansoo ko rulaane pe tula hai