Hinglish Ghazal

Bhool gaya

By Anwar Kamal 25 April 2023 37,503 reads 9,320 likes
Pehloo-e-yaar mein aaya to jahaa’n bhool gayaHijr ki rait udi aah-o-fughaa’n bhool gayaShiddat-e-tashna labi se mujhe ehsaas huwaKhud meri zaat mein dariya tha ravaan bhool gayaJosh mein aa gaya maidan-e-amal mein lekinTegh-o-shamsher-o-sunaa teer-o-kamaal bhool gayaYa khuda meri ibaadat mein reyazat to na dhoondSajda main bhool gaya sood-o-zayaa’n bhool gayaTere mahlo’n ka khandar tujh ko pukaare hai kamaalAur tu azmat-e-rafta ka nishaa’n bhool gaya

Related Shayari

More from this category.