Guzre hum
Ab ke aise alam se guzre humApne haatho’n sitam se guzre humUn ke yaado’n ki titliyaa’n chhu karRehguzaar-e-sanam se guzre humLehar dar lehar hum guzarte huweMauj dar mauj gham se guzre humWoh nasheb-o-faraaz woh tereJism ke peych-o-kham se guzre humPhool bichhne lage they raaho’n meinJab chaman ke haram se guzre humSarhadein gham ki pad gayein chhotiJab samandar ke gham se guzre hum