Hinglish Ghazal

Teri nigaah ka maara to mar gaya kab ka

By Anwar Kamal 25 April 2023 47,352 reads 11,780 likes
Teri nigaah ka maara to mar gaya kab kaFaseel-e-hijr se ho kar guzar gaya kab kaSaraab-e-aks-e-sitamgar se chain kya miltaSau tashna lab hi tera humsafar gaya kab ka Naseeb mein tha sau aandhi se bach gaya warnaBulandiyo’n ka nasheman bikhar gaya kab kaYe sach hai tum bhi ho kashti jalaane walon meinTumhein khabar nahi dariya utar gaya kab kaNa dhoondo Qais-o-Laila ki hum nasheeni koIdhar se haar ke woh to udhar gaya kab ka

Related Shayari

More from this category.