شعر و سخن Shayari in Urdu, Hindi & Hinglish

انور کمال Anwar Kamal Poetry & Community
Hinglish Ghazal

Qissa na hum se poochh

25 April 2023 44,914 reads 11,140 likes
Apno’n ko aazmaane ka qissa na hum se poochhDushman se haar jaane ka qissa na hum se poochhMitti ki thi pukaar hum hijrat na kar sakeyIss qarz ko chukaane ka qissa na hum se poochhTha aab’shaar apna wahin pattharo’n mein qaidPatthar se sar ladaane ka qissa na hum se poochApni nahin thi bhool suraabo’n ka khel thaSehra mein tair jaane ka qissa na hum se poochhKhana badosh ban ke phire hum yahan wahanApna hi ghar giraane ka qissa na hum se poochhZarro’n ko jab hawaao’n ne de di bulandiyaa’nApni bhi khaak udaane ka qissa na hum se poochhKyun darr gaye they kaise ye talvaar gir gayiHaatho’n ke thartharaane ka qissa na hum se poochh