Kahin gum ho gaye
By Anwar Kamal
25 April 2023
35,509 reads
8,820 likes
Uss gulaabi shaam ke saaye kahin gum ho gayeJab bichhad ke hans ke jodey kahin gum ho gayeNafrato’n ka maanjha tha saari patangein kat gayeinPyaar ke mazboot woh dhaage kahin gum ho gayeDhoop ki zanjeer pehne ho gaye kuchh kaamyabJo bachey they chhaao’n ko pehne kahin gum ho gayeYaado’n mein rah jaayenge toote sitaare umr bharJo sitaarey mitti ke neeche kahin ghum ho gayeDoob jaaye’n jo nadi ki dhaar mein woh pyaar gumHeer bhi gum ho gayi raanjhe kahin gugum ho gaye
Related Shayari
More from this category.