Nami Danam
By Anwar Kamal
16 December 2021
144,210 reads
35,940 likes
Simat’ti chandni hai ya saraapa hai nami danamNami danam mera mehboob kya kya hai nami danamTumhari jheel si aankhon ke tat par ye jhuki palkeinBhanwar hai chhaa’on hai koi shikara hai nami danamTere chehre ke sahil par dhanak ki mauj sar patkeNa jaane kaun si rangat mein jalwa hai nami danamTeri zulfon ke saaye mein ye badal parvarish paayeNami danam ye badal kab tak barasta hai nami danamSharaabi sheesha gar saaqi-o-butgar sab ikatthe hainYahan iss maiqade me kaun pyasa hai nami danamPrastish kiski hai ye hum baroz-e-hashr dekhengeYe dil masjid ya butkhana kaleesa hai nami danamWoh harjaayi main saudayi dil-o-jaan se fida gashtamKhuda jaane Kamaal-e-wajad hai kya hai nami danam
Hindi title: नमि दानम
Urdu title: نمی دنم
Related Shayari
More from this category.