Badan mein pyaas
Badan mein pyaas na jaane kahan kahan se uthiSharar ki shakl mein ye aatish-e-rawaan se uthiJo uss ne rait pe likha tha hijr ka ek lafzTo ban ke hashr yahi rait khaakdaa’n se uthiAndhera phir naye sooraj se haar jayegaLakeer-e-aks-e-zeya ki jo bakeeraa’n se uthiAkela chalna safar hai magar yeh yaad raheBagola ban gayi jo dhool kaarwa’n se uthiThakan ko odhey huwe so gaya musafir bhiAbad ki neend zameen se na aasmaa’n se uthi