Paar woh ho gaya dariya ko khabar hone tak
By Anwar Kamal
25 April 2023
52,217 reads
13,000 likes
Paar woh ho gaya dariya ko khabar hone takMain idhar rah gaya lehron ke bhanwar hone takMere haatho’n mein bhi khanjar tha hunar tha sab thaKat gaya sar mera patthar ka jigar hone takItna aasan to nahin boond ka moti bannaSeep ke seene ki hai qaid guhar hone takWasl ke baad shab-e-hijr manaata hai kaunHum bikhar jayenge iss shab ki seher hone takSar pe sooraj liye chhaao’n ki tamanna karteKaun jee paata hai sehra mein shajar hone tak
Related Shayari
More from this category.