Lashkar ke saamne kahin lashkar nikal na jaaye
By Anwar Kamal
25 April 2023
45,601 reads
11,340 likes
Lashkar ke saamne kahin lashkar nikal na jaayeKhanjar prast log hain khanjar nikal na jaayePehra bitha rahe ho jo paani ki boond parHissa jo maang baithei’n samandar nikal na jaayeMaana muraaqbe mein hain changeeziyat abhiBaahar dhyaan se ye qalandar nikal na jaayeItna bhi tar nivaala nahin hoon sitamgaro’nDekho tere nivaale mein kankar nikal na jaayeApni hi rehnumaayi mein raste naye talaashSaalar-e-qaafila hi sitamgar nikal na jaaye
Related Shayari
More from this category.