Apno pe sitam kyun karte ho
By Anwar Kamal
25 April 2023
41,512 reads
10,320 likes
Aye shehr-e-sitam main tera hun apno pe sitam kyun karte hoAye mulk-e-adam ke matwaalo’n lut jaane ka gham kyu karte hoKuchh meri anaa kuch teri anaa dono ke anaa ki thi majbooriMajboor sahi hum door sahi in aankho’n ko nam kyun karte hoIss dil mein khuda bhi moorat bhi dono ko main sajda kar baithaHai ku-e-sanam gar dair-o-haram inkaar-e-sanam kyun karte hoPechidah guzargaho’n ka safar manzil ka nisha’n gum kar baithaBaaqi hai agar saanson ka bharam sauda-e-adam kyun karte hoPanghat pe abhi tak aahat hai qadmo’n ki tere aye jaan-e-KamaalYe hijr ki shab ke ranj-o-alam badh jaane do kam kyun karte ho
Related Shayari
More from this category.