Bahel jaunga
Chhod aaram thakan de de bahel jaungaZinda rehne ki ghutan de de bahel jaungaChaand ki shab mein tera hijr qayamat hogaDhoop ki saari jalan de de bahel jaungaIn zameeno’n ki udaano’n mein ghane saaye hainChhaao’n se door gagan de de bahel jaungaMeethi neendo’n ke qafas mein teri yaado’n ka azaabZakhm se choor badan de de bahel jaungaMargzaaro’n mein koyi khwab-e-pareshaa’n hi nahiMere banbaas ko ban de de bahel jaungaMeri mitti ko na raas aayega phoolo’n ka libaasKhaarzaro’n ki chubhan de de bahel jaungaMere mausam ka bahaaro’n se nahi milta mizajMujhko barbaad chaman de de bahel jaunga