Saamne hai
By Anwar Kamal
25 April 2023
37,271 reads
9,260 likes
Jo shaakh-e-gul ik chamakte khanjar ke saamne haiYe fan hai qatrah bhi ab samandar ke saamne haiJo takht-e-shaahi ko chhod aaya tha ik malangaWoh takht-e-shaahi phir uss qalandar ke saamne haiYe ratjaga ye hazaaro’n sajde aye banda parwarParinda pyaasa chhalakti gaagar ke saamne haiLuta ke sab kuchh usi ki dhun mein usi ka bandaQataar baandhe khuda-e-bartar ke saamne hai
Related Shayari
More from this category.