Hinglish Ghazal

Rangeen ruto’n ki shaam ho tum

By Anwar Kamal 25 April 2023 37,994 reads 9,440 likes
Rangeen ruto’n ki shaam ho tumNaayab koyi in’aam ho tumLafzo’n mein tumharey lab ki sharaabBolo to chhalakta jaam ho tumSau roop badaltey dekha haiKashmir, Katak, Assam ho tumBaahar se bhale patthar ka libaasAndar se magar baadam ho tumAankhein hain tumhari teer andaazUn aankhon se hi badnaam ho tumChehra hai dhanak ki mauje’n liyeRango’n ke jahaa’n ka dhaam ho tumJaadui milan ki bela meinAaghaz hoon main anjaam ho tumJagoo’n to judaai dasti haiSo jaoo’n to phir do gaam ho tum

Related Shayari

More from this category.