Jo bhi anjaam ho anjaam khuda ko maaloom
By Anwar Kamal
25 April 2023
38,533 reads
9,580 likes
Jo bhi anjaam ho anjaam khuda ko maaloomKaun girta hai yahaan dast-e-qaza ko maaloomPattharo’n ne to jigar khoon kiya ghis ghis karRang niklega ya paani ye hena ko maaloomShaakh-e-gul aandhi se anjaan kathak naachti haiKab badal jayegi niyat ye hawa ko maaloomMain bahot zorr se chillaya hoon marte marteDoor tak jayegi kitni ye sada ko maaloomLaal sailaab mein pehle hi zamee’n doobi haiAur kitna lahoo barsega ghata ko maaloom
Related Shayari
More from this category.